Ganesh ji Aarti

Jai Ganesh Jai Ganesh, Jai Ganesh Deva
Mata Jaki Parvati Pita Mahadeva

Jai Ganesh Jai Ganesh, Jai Ganesh Deva
Mata Jaki Parvati Pita Mahadeva

Ek Dant Daya Want, Char Bhuja Dhari
Mastak Sindoor Shoye, Muse Ki Sawari

Paan Chadhe Phool Chadhe, Aur Chadhe Mewa
Laduvan Ka Bhog Lage, Sant Kare Seva

Jai Ganesh Jai Ganesh, Jai Ganesh Deva
Mata Jaki Parvati Pita Maha deva

Andhan Ko aankh Dett kodhin ko kaya
Banjhan ko Garbh dett nirdhan ko maya

Surshyaam sharan aaye safal kije Seva
Mata Jaki Parvati Pita Mahadeva

Jai Ganesh Jai Ganesh, Jai Ganesh Deva
Mata Jaki Parvati Pita Mahadeva

Laxmi ji Aarti
Om Jai Lakshmi Mata, Maiya Jai Lakshmi Mata,
Tumko Nishdin Sevat, Tumko Nishdin Sevat,

Har Vishnu Vidhata.
Om Jai Lakshmi Mata

Uma Rama Bharmani, Tum Hi Jag Mata,
maiyya tum hi jag mata

Surya Chandrma Dhyavat, Surya Chandrma Dhyavat
Naarad Rishee Gata.
Om Jai Lakshmi Mata

Durga Roop Niranjani, Sukh Sampati Data,
maiyya sukh sampati data

Jo Koi Tum Ko Dhayata, Jo Koi Tum Ko Dhayata
Riddhi Siddhi Pata.
Om Jai Lakshmi Mata

Tum Patal Nivasini, Tum Hi Shubh Data,
maiyya tum hi subh data

Karam-Prabhav-Prakashini, Karam-Prabhav-Prakashini
Bhav Nidhi Ki Trata.
Om Jai Lakshmi Mata

Jis Ghar Mein Tum Rahti, Sab Sadgun Aata,
maiyya sab sadgun aata

Sab Sambhav Ho Jata, Sab Sambhav Ho Jata
Man Nahi Ghabrata.
Om Jai Lakshmi Mata

Tum Bin Yagya Na Hove, Vastra No ho Pata,
maiyya vastra na ho pata

Khan-Pana Ka Vaibhav, Khan-Pana Ka Vaibhav
Sub Tumse aata.
Om Jai Lakshmi Mata

Shubhgun Mandir Sundar, Sheerodadhi Jata,
maiyya Sheerodadhi Jata,

Ratan Chaturdhsh Tum Bin, Ratan Chaturdhsh 
Tum Bin Koi Nahi Pata.
Om Jai Lakshmi Mata

Shri lakshmi Ji Ki Aarti, Jo Koi Nar Gata,
maiyya Jo Koi Nar Gata

Urr Anand Samata, Urr Anand Samata
Pap Utar Jata.
Om Jai Lakshmi Mata

Om Jai Lakshmi Mata, Maiya Jai Lakshmi Mata,
Tumko Nishdin Sevat, Tumko Nishdin Sevat,
Har Vishnu Vidhata.
Om Jai Lakshmi Mata
Ambe ji Aarti
Jai Ambe Gauri, Maiya Jai Shyama Gauri.
Tumako Nishadin Dhyavat, Hari Bramha Shivari.
Om Jai Ambe Gauri

Mang Sindur Virajat, Tiko Mrigamad Ko.
Ujjval Se Dou Naina, Chandravadan Niko.
Om Jai Ambe Gauri

Kanak Saman Kalevar, Raktambar Raje,
Raktpushp Gal Mala, Kanthan Par Saje.
Om Jai Ambe Gauri

Kehari Vahan Rajat, Khadag Khappar Dhari,
Sur-Nar-Munijan Sevat, Tinake Dukhahari.
Om Jai Ambe Gauri

Kaanan Kundal Shobhit, Nasagre Moti,
Kotik Chandr Divakar, Rajat Sam Jyoti.
Om Jai Ambe Gauri

Shumbh-Nishumbh Bidare, Mahishasur Ghati,
Dhumr Vilochan Naina, Nishadin Madamati.
Om Jai Ambe Gauri

Chand-Mund Sanhare, Shonit Bij Hare,
Madhu-Kaitabh Dou Mare, Sur Bhayahin Kare.
Om Jai Ambe Gauri

Bramhani, Rudrani,Tum Kamala Rani,
Agam Nigam Bakhani,Tum Shiv Patarani.
Om Jai Ambe Gauri

Chausath Yogini Mangal Gavat,Nritya Karat Bhairu,
Bajat Tal Mridanga, Aru Baajat Damaru.
Om Jai Ambe Gauri

Tum Hi Jag Ki Mata, Tum Hi Ho Bharata,
Bhaktan Ki Dukh Harta, Sukh Sampati Karta.
Om Jai Ambe Gauri

Bhuja Char Ati Shobhi,Varamudra Dhari,
Manvanchhit Fal Pavat,Sevat Nar Nari.
Om Jai Ambe Gauri

Kanchan Thal Virajat, Agar Kapur Bati,
Shrimalaketu Mein Rajat, Koti Ratan Jyoti.
Om Jai Ambe Gauri 

Shri Ambeji Ki Arati, Jo Koi Nar Gave,
Kahat Shivanand Svami, Sukh-Sampatti Pave.
Om Jai Ambe Gauri
Hanuman ji Aarti
Aarti Ki Jai Hanuman Lala Ki, 
Dushat Dalan Ragunath Kala Ki.

Ja Ke Bal Se Giriver Kaanpe, 
Rog Dosh Ja Ke Nikat Na Jaanke.

Anjani Putra Mahabaldaye, 
Santan Ke Prabhu Sada Sahaye.

De Beeraha Raghunath Pathai, 
Lanka Jaari Siya Sudhi Laiye.

Lanka So Kot Samundra Se Khaiy, 
Jaat Pavan Sut Baar Na
Laiye.

Lanka Jaari Asur Sab Maare, 
Siya Ramji Ke Kaaj Sanvare.

Lakshman Moorchit Parhe Sakare, 
Aan Sajeevan Pran Ubhaare.

Paith Pataal Tori Yamkare, 
Ahiravan Ke Bhuja Ukhaare.

Baayen Bhuja Asur Dal Mare, 
Daayen Bhuja Sab Santa Jana
Tare.

Surnar Munijan Aarti Utare, 
Jai Jai Jai Hanuman Uchaare.

Kanchan Thaar Kapoor Lo Chhai, 
Aarti Karat Aajani Mai.

Jo Hanumanji Ki Aarti Gaave, 
Basi Baikuntha Amar Padh Pave.

Lanka Vidvance Kiye Ragurai, 
Tulsidas Swami Aarti Gaaie.

Aarti Ki Jai Hanuman Lala Ki, 
Dushat Dalan Ragunath Kala Ki.

Pawan Tanay Sankat Haran Managal Moorti Roop,
Ram Lakhan Sita Sahit Hridaya Bhasu Sur Bhoop