Laxmi ji Aarti
Om Jai Lakshmi Mata, Maiya Jai Lakshmi Mata,
Tumko Nishdin Sevat, Tumko Nishdin Sevat,

Har Vishnu Vidhata.
Om Jai Lakshmi Mata

Uma Rama Bharmani, Tum Hi Jag Mata,
maiyya tum hi jag mata

Surya Chandrma Dhyavat, Surya Chandrma Dhyavat
Naarad Rishee Gata.
Om Jai Lakshmi Mata

Durga Roop Niranjani, Sukh Sampati Data,
maiyya sukh sampati data

Jo Koi Tum Ko Dhayata, Jo Koi Tum Ko Dhayata
Riddhi Siddhi Pata.
Om Jai Lakshmi Mata

Tum Patal Nivasini, Tum Hi Shubh Data,
maiyya tum hi subh data

Karam-Prabhav-Prakashini, Karam-Prabhav-Prakashini
Bhav Nidhi Ki Trata.
Om Jai Lakshmi Mata

Jis Ghar Mein Tum Rahti, Sab Sadgun Aata,
maiyya sab sadgun aata

Sab Sambhav Ho Jata, Sab Sambhav Ho Jata
Man Nahi Ghabrata.
Om Jai Lakshmi Mata

Tum Bin Yagya Na Hove, Vastra No ho Pata,
maiyya vastra na ho pata

Khan-Pana Ka Vaibhav, Khan-Pana Ka Vaibhav
Sub Tumse aata.
Om Jai Lakshmi Mata

Shubhgun Mandir Sundar, Sheerodadhi Jata,
maiyya Sheerodadhi Jata,

Ratan Chaturdhsh Tum Bin, Ratan Chaturdhsh 
Tum Bin Koi Nahi Pata.
Om Jai Lakshmi Mata

Shri lakshmi Ji Ki Aarti, Jo Koi Nar Gata,
maiyya Jo Koi Nar Gata

Urr Anand Samata, Urr Anand Samata
Pap Utar Jata.
Om Jai Lakshmi Mata

Om Jai Lakshmi Mata, Maiya Jai Lakshmi Mata,
Tumko Nishdin Sevat, Tumko Nishdin Sevat,
Har Vishnu Vidhata.
Om Jai Lakshmi Mata